"kya main jaldi to nahiin pahunch
gaya" ? Dr.Satwik ke ghar ke saamne "maali" ko dekh kar
kuchh aisa khayaal aaya. Maine dil ko tasalli di " Ye to Gulmohar park
hai, zaahir hai ki yahaan Gul aur Gulshan paalne ke liye
maali aur maaldaar rehte hain. Vaise sangeet ki duniya men maaldaar ka kuchh aur hi
maltlab hai, aur isi maal ka luTf uThaane ke liye ham sab be-sabri se intezaar kar rahe the.
mera ishara hai "78 rpm's" ki taraf.
Andar pahunchte hi Dr.Satwik ne apne
khazana ke kuchh anmol nagiine pesh ki. Sab se pehle meri nazar paDi "nanhi
kali...hawa dheera aana" record par. dilii ki dhoop men safar karke aaya tha aur "~~ hawaa
dheere aana" sun ke aisa mehsoos hua ki Dr.Satwik ke bagiiche se nikli hui
baad-e-sabaa mera saara pasiina poonchh liya !
Dr. Satwik ne kahaa ki unke collection
men Hindi ke alawa Marathi aur angrezi gaane bhi hai aur sab ye unke Daada ji ki
amaanat hai. Marathi natya sangeet ka anand le raha tha, aur mere phone bajne lagi. Record player
ki aawaz kam karne ki koshish ki lekin pata chala ki awaaz jyaada kar sakte hain lekin kam
nahiin :) Phone Dr. Preeti Rajan ka tha ur vo ghar se nikalne vaale the. Preeti ke
pahunchne ke baad hamaare puraane doston ki charcha hui, khaas kar Anup Pandey, jinke ghar men
pichla baiThak hua. Main aur Preeti Record Player
se wakif hone ki koshish ki aur dheere
dheere, chaabi lagana, sui ko nikaalna, seekh liye.
ThoDi der men Bakshish Singh, Vishnu
Marwa, Sundeep Pahwa, Bimal Chadha bhi tashreef le aaye. Bakshish ji kehne
lage ke vo is ilaake se wakif hain aur Dr.Satwik ke paDosi Sudhir Kapoor se uThna baiThna
hota hai. phir pata chala ki Satwik aur Kapoor kaiin saal se ek duusre ko jaante hain lekin
mausiqi ka shauq abhi tak ek raaz ban kar reh gaii. baaton baaton men Sudhir Kapoor bhi aaye
aur maaluum huaa ki ye vohi Sudhir hai jo Geet
Kosh ko digitise kar rahe hain.
Sharbat ke saath saath sab logon ne
saabu daane ke kofte aur Bacarwadi ka mazaa liya. maine ye bataana bhool gaya ki Dr.
Satwik parivaar ke sabhi sadasy "doctors hain"; unki dharampatni Varsha ji, unka beTa
Ambarish aur unki bahu Ruma. Aise ghar men daawat par jaane ka ek faayda hai ki aap
bina hichkichaaye baar baar khaa sakhte hain :)
Agla record tha Vasat Prabhu ka gair
flimi rachana "maiya mori main nahiin maakhan khaayo". Dr. Satwik ke records men
sirf yahi ek Lata ji ka gaana mujhe mila aur kisi vaje se maine isko Marathi gaana samajh
baiThaa. Shaayad ye Marathi Natya sangeet sunne ka prabhaav tha. Iske baad Geeta Dutt ka
"kaise koi jiye" bajaaye aur iska aanand lene ke liye maine player ka "peTi" khol
diya aur saara ghar Geeta Dutt ki aawaaz se Goonj uTha.
Sandeep ne mujhse kahaa "Kaash aaj
yahaan Kalyaan hota".
baiThak puura din ka tha aur rpm records
sunne ke alawa, ek charcha ka mudda bhi hamne tay kiya. mudaa tha dakshin bharat
ke sangeet karon ki hindi film rachnayen. Maine kuchh gaane lekar aaya jisko
Dr.Satwik ke "mac book" par Daalke bajaane ke liye Ambarish ka madad lena paDaa. Khaane ka
waqt ho gaya tha ur ham sab dining room men apni apni jagah le li. Pav Bhaji, anaar
ke daanon se saja hua dahi-chaawal, maTke men
rabdi, aur sab se khaas "jaamuun ka
kulfi" ka hamne mazaa liyaa. Jaamun ka kulfi doston ko khuub pasand aaya aur gaanon ke beech
bech men uska zikr hota raha.
Khaane ke baad ek khaas mehmaan, Shri
Kanhayya Lal Pandey, tashreef le aaye. Pandey ji, hindi film geeton ke raagon par kaiin
saalon se anveshan kar rahe hain. Unhon ne kahiin baiThakon men iske baare men baat kiya,
aur unka kitaab bhi chapne vaali hai.Unhon ne ye bhi bataaya ki 1940's men jyaada tak ek
raag pe aadhar par gaane banaye jaate hain. Baad men do aur teen raagon ka istemaal karna
shuru hua. aaj ke daur men ke gaanon men bhi raag pakDe jaate hain lekin ye jyada tak
iteefaaq hai. Pandey ji ne bataaya ki unhon ne
"munni badnaam hui" jiase
gaanon ka bhi vishleshan kiya.
Baaton baaton men Naveen aur Nira Anand
bhi baiThak men shaamil ho gaye. Naveen ne apne College dinonke kaiin records leke
aaye the. Vo is baat ko lekar bahut Khush the ki kaiin saalon ke baad ye unke behan ke
ghar men mil gaye aur bachpan ke dinon ki yaaden taaza ho gaii. Naveen ke records par ham
sab ne Gaur famrmaya. Pink Floyd se lekar Ghalib ki Ghazlon ka Khazana apne saath leke
aaye. Ye sab LP's ya EP's the kyunki ek record par kaiin gaane the. Dr. Satwik ki rpm's par
phir hamne roshni Daale aur Rafi sahab ka ek Gair
Filmi record Bimal ji ki nazar men aai.
Vo keh rahe the ki ye bahut naayab record hain aur gaanabhi bahit khuub tha "aawaaz do
ham ek hain" jo 1962 bharat-chiin jung ke dauraan kaafi mashuur hua tha. Usi daur ka ek
aur gaana "Bas do ya teen bachhe hote hain ghar mein achhe" bhi bajay gaya, jo
Parivaar Niyantran ka Prachar ke liye bani gaii thi. Mukesh ka ek gair filmi record "chacha
Nehru" bhi hamne bajaaye the. 1930's ke dashak ke gaane bhi sune aur ek record par naam tha
"snehaprabha". Ek dilchasp baat nikal kar aai ki us daur
men record par us naam chapa jaata tha
jis par gaana filmaaya gayaa tha. Yaane ki "aayega aanewala" par "Kamini" ka
naam hai jo Madhubala ka film men naam tha. "Kismat Palat Ke Dekh" ka naayaab nagma "aayi
bahaar aayi" bhi sun ne ka mauqa mila.
Dakshin Bharat sangeet kaaron par
charcha shuru hui. Maine bataya ki inme jyaada Dakshin men mashoor sangeet kaar the jaise ki
S.Rajeshwar Rao, Ramesh Naidu, Vishwanath Ramamoorthy,Adi Narayan Rao. Gemini ke
Chandralekha, aur Nishan ke gaane bajaaye aur charcha Pauranik aur Stunt filmon par
hui. S.Rajeshwar Rao ko Gemini chhoDne ke baad, E.Sankara Sastry, B.S Kalla
aurParthasarathy Gemin Orchestra se juDe hue the. Mangala ka "jhanan jhanan jhanva" ka
aanand liya.Sansaar aur Bahut Din Huye ke gaane bhi sune jaise "jiyaa lehra lehraaye" aur
"chanda chamke niil gagan men". Pandey ji ne bataaya ki B.S Kalla Rajasthan se hain. Jab Suvarna Sundari
ki baat hui to Pandey ji ne "haayi haayi aamani saage"ka Video bajaaye aur ham sab
ko gaur se dekhne ke liye kahaa. Isme Anjali Devi ki Pahnava se Pata chalta hai ki ye
"kuhu kuhu bole koyaliya" se alag hai. Iska matlab ye film Hindi men dubaara banaai gai thi. Pandey
ji ne ye bhi bataaya ki Adi Narayana Rao ne
Phuulon Ki Sej men paach raagon ka
istemaal karke "aa bhi jaa rasiya" banaya. Iske baad maine Ghantasala ki sangeet rachna
"kahiin preet se bhara" sunaaya. Aaakhir men "paanch minute aur paanch minute" sune
jiska sangeet Viswanath-Ramamoorty ne diya.
Jaate waqt Sudhir Kapoor ke ghar gaye
aur Geet Kosh digitisation par baat kiye. Geet Kosh database dekhne ka mauqa bhi milaa.
Naveen ne aane waale mehfilon ke mudde par raushni Daali aur kuchh acche sujhaav diye. Vo
main yahaan zikr nahiin karuunga taaki nazrin par romaanch bani rahe.bas itna kahuunga ki
is parampara ko aage badhaane ke liye dosoton ka josh bulandi par hai.
No comments:
Post a Comment